tamam umr yun hi ho gai basar apni
shab-e-firaq gai roz-e-intizar aaya
Imam Bakhsh Nasikh
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
Imam Bakhsh Nasikh
tin tribeni hain do aankhen meri
ab allahabad bhi punjab hai
Imam Bakhsh Nasikh
wo nahin bhulta jahan jaun
hae main kya karun kahan jaun
Imam Bakhsh Nasikh
wo nazar aata hai mujh ko main nazar aata nahin
KHub karta hun andhere mein nazare raat ko
Imam Bakhsh Nasikh
zindagi zinda-dili ka hai nam
murda-dil KHak jiya karte hain
Imam Bakhsh Nasikh
zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl
tu ne to koi baat na mani mere dil ki
Imam Bakhsh Nasikh

