aat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland
dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin
Imam Bakhsh Nasikh
ashk se nam nahin lete ki sun le na koi
dil hi dil mein use hum yaad kiya karte hain
Imam Bakhsh Nasikh
ifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin
jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin
Imam Bakhsh Nasikh
shubh 'nasiKH' nahin kuchh 'mir' ki ustadi mein
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
Imam Bakhsh Nasikh
siyah-baKHti mein kab koi kisi ka sath deta hai
ki tariki mein saya bhi juda rahta hai insan se
Imam Bakhsh Nasikh
tazgi hai suKHan-e-kuhna mein ye baad-e-wafat
log aksar mere jine ka guman rakhte hain
Imam Bakhsh Nasikh
takallum hi faqat hai us sanam ka
KHuda ki tarah goya be-dahan hai
Imam Bakhsh Nasikh

