hir-phir ke daere hi mein rakhta hun main qadam
aai kahan se gardish-e-parkar panw mein
Imam Bakhsh Nasikh
ho gae dafn hazaron hi gul-andaz is mein
is liye KHak se hote hain gulistan paida
Imam Bakhsh Nasikh
ho gaya zard paDi jis pe hasinon ki nazar
ye ajab gul hain ki tasir-e-KHizan rakhte hain
Imam Bakhsh Nasikh
jis qadar hum se tum hue nazdik
us qadar dur kar diya hum ko
Imam Bakhsh Nasikh
jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka
dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin
Imam Bakhsh Nasikh
justuju karni har ek amr mein nadani hai
jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai
Imam Bakhsh Nasikh
kaam auron ke jari rahen nakaam rahen hum
ab aap ki sarkar mein kya kaam hamara
Imam Bakhsh Nasikh

