dekh kar tujh ko qadam uTh nahin sakta apna
ban gae surat-e-diwar tere kuche mein
Imam Bakhsh Nasikh
furqat qubul rashk ke sadme nahin qubul
kya aaen hum raqib teri anjuman mein hai
Imam Bakhsh Nasikh
furqat-e-yar mein insan hun main ya ki sahab
har baras aa ke rula jati hai barsat mujhe
Imam Bakhsh Nasikh
gaya wo chhoD kar raste mein mujh ko
ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun
Imam Bakhsh Nasikh
go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum
roz ho aate hain sau bar tere kuche mein
Imam Bakhsh Nasikh
hum mai-kashon ko Dar nahin marne ka mohtasib
firdaus mein bhi sunte hain nahr-e-sharab hai
Imam Bakhsh Nasikh
hum zaifon ko kahan aamad o shud ki taqat
aankh ki band hua kucha-e-jaanan paida
Imam Bakhsh Nasikh

