na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna
gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna
Iftikhar Naseem
taq par juzdan mein lipTi duaen rah gain
chal diye beTe safar par ghar mein maen rah gain
Iftikhar Naseem
tera hai kaam kaman mein use lagane tak
ye tir KHud hi chala jaega nishane tak
Iftikhar Naseem
tu to un ka bhi gila karta hai jo tere na the
tu ne dekha hi nahin kuchh bhi tu pagal hai abhi
Iftikhar Naseem
us ke chehre ki chamak ke samne sada laga
aasman pe chand pura tha magar aadha laga
Iftikhar Naseem
ye kaun mujh ko adhura bana ke chhoD gaya
palaT ke mera musawwir kabhi nahin aaya
Iftikhar Naseem
e-ghar hona be-ghar rahna sab achchha Thahra
ghar ke andar ghar nahin paya shahr mein paya shah
Iftikhar Qaisar

