ishq mein KHwab ka KHayal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
Hasrat Azimabadi
kafir-e-ishq hun ai shaiKH pe zinhaar nahin
teri tasbih ko nisbat meri zunnar ke sath
Hasrat Azimabadi
khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol
kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera
Hasrat Azimabadi
maKHuz hoge shaiKH-e-riya-kar roz-e-hashr
paDhte ho tum azab ki aayat be-tarah
Hasrat Azimabadi
main 'hasrat' mujtahid hun but-parasti ki tariqat ka
na puchho mujh ko kaisa kufr hai islam kya hoga
Hasrat Azimabadi
mai-kashi mein rakhte hain hum mashrab-e-durd-e-sharab
jam-e-mai chalta jahan dekha wahan par jam gae
Hasrat Azimabadi
mat halak itna karo mujh ko malamat kar kar
nek-namo tumhein kya mujh se hai bad-nam se kaam
Hasrat Azimabadi

