shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin
baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin
Hasan Abidi
tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai
gul ko bhi hath lagao to lahu deta hai
Hasan Abidi
yaad-e-yaran dil mein aai huk ban kar rah gai
jaise ek zaKHmi parinda jis ke par TuTe hue
Hasan Abidi
aDon ne us ko chhin liya hai bachchon se
KHabar nahin ab kya ho haal khilaune ka
Hasan Akbar Kamal
anae jata tha main apne hath ko kashkol
so meri ruh mein KHanjar utarta jata tha
Hasan Akbar Kamal
dil mein tere KHulus samoya na ja saka
patthar mein is gulab ko boya na ja saka
Hasan Akbar Kamal
diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae
hawa ke samne ye imtihan rakhna hai
Hasan Akbar Kamal

