siwa tere har ek shai ko haTa dena hai manzar se
aur is ke baad KHud ko be-sar-o-saman karna hai
Hasan Abbas Raza
talluq toDne mein pahl mushkil marhala tha
chalo hum ne tumhaara bojh halka kar diya hai
Hasan Abbas Raza
tujh se bichhaD ke samt-e-safar bhulne lage
phir yun hua hum apna hi ghar bhulne lage
Hasan Abbas Raza
us ka firaq itna baDa saneha na tha
lekin ye dukh pahaD barabar laga hamein
Hasan Abbas Raza
ye kar-e-ishq to bachchon ka khel Thahra hai
so kar-e-ishq mein koi kamal kya karna
Hasan Abbas Raza
aaj teri yaad se Takra ke TukDe ho gaya
wo jo sadiyon se luDhakta ek patthar mujh mein tha
Hasan Abbasi
hasin yaadon ke chand ko alwidaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aaya
Hasan Abbasi

