na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jati hain
wo aawazen jinhen hum roz bahar chhoD aate hain
Ghazanfar
afta rafta aankhon ko hairani de kar jaega
KHwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega
Ghazanfar
tumhaare hote hue log kyun bhaTakte hain
kahin pe KHizr nazar aae to sawal karun
Ghazanfar
zehn ke KHanon mein jaane waqt ne kya bhar diya
be-sabab hone lagi ek ek se an-ban meri
Ghazanfar
ajab tarah ka adhura-pan hai mere bayan mein
so mera qissa kahin sunane mein rah gaya hai
Ghazanfar Hashmi
koi sabab to tha ki 'ghaus' fahm-o-zaka ke bawajud
kar-e-sawab chhoD kar kar-e-gunah mein rahe
Ghous Mathravi
kab se banjar thi nazar KHwab to aaya
shukr hai dasht mein sailab to aaya
Ghufran Amjad

