tumhaare dar se uThae gae malal nahin
wahan to chhoD ke aae hain hum ghubar apna
Ghalib Ayaz
zindagani mein sabhi rang the mahrumi ke
tujh ko dekha to main ehsas-e-ziyan se nikla
Ghalib Ayaz
angon ki barishon se dhundla gaya hai manzar
aaya hua hai koi tufan aaine mein
Ghalib Irfan
'ghamgin' jo ek aan pe tere ada hua
kya KHush ada use teri ai KHush-ada lagi
Ghamgeen Dehlvi
hath se mere wo pita nahin muddat se sharab
yaro kya apni KHushi main ne pilana chhoDa
Ghamgeen Dehlvi
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
Ghamgeen Dehlvi
kiya badnam ek aalam ne 'ghamgin' pak-bazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota
Ghamgeen Dehlvi

