mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
dil-e-shikasta meri kaenat hai shayad
Farhan Salim
shauq-e-behad ne kisi gam Thaharne na diya
warna kis gam mera KHun-e-tamanna na hua
Farhan Salim
tujhe KHabar hi nahin hai ye qissa-e-kotah
jahan pe but na gire kab wahan haram utra
Farhan Salim
unhen guman ki mujhe un se rabt hai 'salim'
mujhe ye wahm unhen iltifat hai shayad
Farhan Salim
yun bhi kiya hai hum ne haq-e-dilbari ada
apni hi jit apne hi hathon se haar di
Farhan Salim
kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se
tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se
Farhat Abbas Shah
main be-KHayal kabhi dhup mein nikal aaun
to kuchh sahab mere sath sath chalte hain
Farhat Abbas Shah