اردو हिंदी
Yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main | Shaahi Shayari
yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main

Ghazal

Yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main

Faragh Rohvi

;

yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main
mujh ko sameT lo ki bikharne laga hun main

chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main
shayad nigah-e-waqt se Darne laga hun main

par taulne lagi hain jo unchi uDan ko
un KHwahishon ke pankh katarne laga hun main

aata nahin yaqin ki un ke KHayal mein
phir aaftab ban ke ubharne laga hun main

kya baat hai ki apni tabiat ke bar-KHilaf
de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main