pagal-pan mein aa kar pagal kuchh bhi to kar sakta hai
KHud ko izzat-dar samajhne wale mujh se dur rahen
Faiz Alam Babar
jagte jagte ek umr kaTi ho jaise
jaan baqi hai magar sans ruki ho jaise
faiz anwar
jahan faizan-e-abaadi bahut hai
wahan par bhi ghane jangal rahe the
Faizan Arif
ahut qadim nahin kal ka waqia hai ye
main is zamin pe utra tha teri zat ke sath
Faizan Hashmi
as yahi soch ke rahta hun main zinda is mein
ye mohabbat hai koi mar nahin sakta is mein
Faizan Hashmi
jis pari par mar miTe the wo pari-zadi na thi
baad mein jaana ki us ke donon par hote the hum
Faizan Hashmi
KHala mein girwi rakkha apne sare KHwabon ko
aur is zamin pe chhoTa sa ghar liya main ne
Faizan Hashmi