jaanta hai ki wo na aaenge
phir bhi masruf-e-intizar hai dil
Faiz Ahmad Faiz
jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae
Faiz Ahmad Faiz
jawan-mardi usi rifat pe pahunchi
jahan se buzdili ne jast ki thi
Faiz Ahmad Faiz
jo nafas tha KHar-e-gulu bana jo uThe the hath lahu hue
wo nashat-e-ah-e-sahr gai wo waqar-e-dast-e-dua gaya
Faiz Ahmad Faiz
jo talab pe ahd-e-wafa kiya to wo aabru-e-wafa gai
sar-e-am jab hue muddai to sawab-e-sidq-o-wafa gaya
Faiz Ahmad Faiz
juda the hum to mayassar thin qurbaten kitni
baham hue to paDi hain judaiyan kya kya
Faiz Ahmad Faiz
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
Faiz Ahmad Faiz