ye dil jo muztarib rahta bahut hai
koi is dasht mein taDpa bahut hai
Bedil Haidri
kuchh be-adabi aur shab-e-wasl nahin ki
han yar ke ruKHsar pe ruKHsar to rakkha
Begam Lakhnavi
hum bhi KHud ko tabah kar lete
tum idhar bhi nigah kar lete
Behzad Lakhnavi
ishq ka ejaz sajdon mein nihan rakhta hun main
naqsh-e-pa hoti hai peshani jahan rakhta hun main
Behzad Lakhnavi
main DhunDh raha hun meri wo shama kahan hai
jo bazm ki har chiz ko parwana bana de
Behzad Lakhnavi
mujhe to hosh na tha un ki bazm mein lekin
KHamoshiyon ne meri un se kuchh kalam kiya
Behzad Lakhnavi
zinda hun is tarah ki gham-e-zindagi nahin
jalta hua diya hun magar raushni nahin
Behzad Lakhnavi