hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi
bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana
Bedam Shah Warsi
jis ki is aalam-e-surat mein hai rang-amezi
usi taswir ka KHaka to ye insan bhi hai
Bedam Shah Warsi
jo sunta hun sunta hun main apni KHamoshi se
jo kahti hai kahti hai mujh se meri KHamoshi
Bedam Shah Warsi
kahan iman kis ka kufr aur dair-o-haram kaise
tere hote hue ai jaan KHayal-e-do-jahan kyun ho
Bedam Shah Warsi
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hain
naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
Bedam Shah Warsi
mere dard-e-nihan ka haal mohtaj-e-bayan kyun ho
jo lafzon ka ho majmua wo meri dastan kyun ho
Bedam Shah Warsi
mere nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai
to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de
Bedam Shah Warsi