ye rind de gae luqma tujhe to uzr na man
tera to shaiKH tanur o shikam barabar hai
Baqaullah u0027Baqau0027
dost naraaz ho gae kitne
ek zara aaina dikhane mein
Baqi Ahmad Puri
sari basti mein faqat mera hi ghar hai be-charagh
tirgi se aap ko mera pata mil jaega
Baqi Ahmad Puri
sab dost maslahat ke dukanon mein bik gae
dushman to pur-KHulus adawat mein ab bhi hai
Baqi Ahmad Puri
'baqi' jo chup rahoge to uTThengi ungliyan
hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho
Baqi Siddiqui
and kaliyon ki ada kahti hai
baat karne ke hain sau pairae
Baqi Siddiqui
dil ki diwar gir gai shayad
apni aawaz kan mein aai
Baqi Siddiqui