اردو हिंदी
Kahta hai har makin se makan bolte raho | Shaahi Shayari
kahta hai har makin se makan bolte raho

Ghazal

Kahta hai har makin se makan bolte raho

Baqi Siddiqui

;

kahta hai har makin se makan bolte raho
is chup mein bhi hai ji ka ziyan bolte raho

har yaad har KHayal hai lafzon ka silsila
ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho

mauj-e-sada-e-dil pe rawan hai hisar-e-zist
jis waqt tak hai munh mein zaban bolte raho

apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu
ho fasl-e-gul ki daur-e-KHizan bolte raho

qadmon pe bar hote hain sunsan raste
lamba safar hai ham-safaran bolte raho

hai zindagi bhi TuTa hua aaina to kya
tum bhi ba-tarz-e-shisha-garan bolte raho

'baqi' jo chup rahoge to uTThengi ungliyan
hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho