KHwahish-e-sud thi saude mein mohabbat ke wale
sar-ba-sar is mein ziyan tha mujhe malum na tha
Baqaullah u0027Baqau0027
kya tujh ko likhun KHat harakat hath se gum hai
KHama bhi mere hath mein angusht-e-shashum hai
Baqaullah u0027Baqau0027
mat tang ho kare jo falak tujh ko tang-dast
aahista khinchiye jo dabe zer-e-sang dast
Baqaullah u0027Baqau0027
qalam sifat mein pas-az-maraatib badan sana mein teri khapaya
badan zaban mein zaban suKHan mein suKHan sana mein teri khapaya
Baqaullah u0027Baqau0027
ushd-e-baatin ki talab hai to kar ai shaiKH wo kaam
pir-e-mai-KHana jo zahir mein kuchh irshad kare
Baqaullah u0027Baqau0027
sailab se aankhon ke rahte hain KHarabe mein
TukDe jo mere dil ke baste hain do-abe mein
Baqaullah u0027Baqau0027
ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aaya hamein ek hath se tali ka bajaana
Baqaullah u0027Baqau0027