is tarah kuchh badal gai hai zamin
hum ko ab KHauf-e-asman na raha
Baqar Mehdi
jaane kin mushkilon se jite hain
kya karen koi mehrban na raha
Baqar Mehdi
jaane kyun un se milte rahte hain
KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin
Baqar Mehdi
kafiri ishq ka shewa hai magar tere liye
is nae daur mein hum phir se musalman honge
Baqar Mehdi
kabhi to bhul gae pi ke nam tak un ka
kabhi wo yaad jo aae to phir piya na gaya
Baqar Mehdi
mere sanam-kade mein kai aur but bhi hain
ek meri zindagi ke tumhin raaz-dan nahin
Baqar Mehdi
mujhe dushman se apne ishq sa hai
main tanha aadmi ki dosti hun
Baqar Mehdi