ek nawa-e-rafta ki bazgasht thi 'qaisi'
dil jise samajhte the dasht-e-be-sada nikla
Aziz Qaisi
jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae
lafzon ke bagh shahar ki surat ujaD gae
Aziz Qaisi
jo zaKHm doston ne diye hain wo chhup to jaen
par dushmanon ki samt se patthar koi to aae
Aziz Qaisi
kai bar daur-e-kasad mein gire mehr-o-mah ke dam bhi
magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi
Aziz Qaisi
kya hath uThaiye dua ko
hum hath uTha chuke dua se
Aziz Qaisi
nazar uThao to jhum jaen nazar jhukao to Dagmagaen
tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum
Aziz Qaisi
tujhe sine se laga lun tujhe dil mein rakh lun
dard ki chhanw mein zaKHmon ki aman mein aa ja
Aziz Qaisi