tamam shahr ko tarikiyon se shikwa hai
magar charagh ki baiat se KHauf aata hai
Aziz Nabeel
wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin
us ek raaz se parda uTha diya gaya hai
Aziz Nabeel
aah-e-be-asar nikli nala na-rasa nikla
ek KHuda pe takiya tha wo bhi aap ka nikla
Aziz Qaisi
ab to faqat badan ki murawwat hai darmiyan
tha rabt-e-jaan-o-dil to shuruat hi mein tha
Aziz Qaisi
ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah
kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi
Aziz Qaisi
chal 'qaisi' mele mein chal kya rona tanhai ka
koi nahin jab tera mera sab mere sab tere
Aziz Qaisi
dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko
junun ki rasm zamana hua uTha di hai
Aziz Qaisi