shama bujh kar rah gai parwana jal kar rah gaya
yaadgar-e-husn-o-ishq ek dagh dil par rah gaya
Aziz Lakhnavi
shisha-e-dil ko yun na uThao
dekho hath se chhoTa hota
Aziz Lakhnavi
soz-e-gham se ashk ka ek ek qatra jal gaya
aag pani mein lagi aisi ki dariya jal gaya
Aziz Lakhnavi
sukun-e-dil nahin jis waqt se us bazm mein aae
zara si chiz ghabrahaT mein kya jaane kahan rakh di
Aziz Lakhnavi
tah mein dariya-e-mohabbat ke thi kya chiz 'aziz'
jo koi Dub gaya us ko ubharne na diya
Aziz Lakhnavi
tamam anjuman-e-waz ho gai barham
liye hue koi yun saghar-e-sharab aaya
Aziz Lakhnavi
taqlid ab main hazrat-e-waiz ki kyun karun
saqi ne de diya mujhe fatwa jawaz ka
Aziz Lakhnavi