jhuTe wadon par thi apni zindagi
ab to wo bhi aasra jata raha
Aziz Lakhnavi
kabhi jannat kabhi dozaKH kabhi kaba kabhi dair
ajab andaz se tamir hua KHana-e-dil
Aziz Lakhnavi
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
Aziz Lakhnavi
lutf-e-bahaar kuchh nahin go hai wahi bahaar
dil hi ujaD gaya ki zamana ujaD gaya
Aziz Lakhnavi
mana ki bazm-e-husn ke aadab hain bahut
jab dil pe iKHtiyar na ho kya kare koi
Aziz Lakhnavi
main to hasti ko samajhta hun sarasar ek gunah
pak-damani ka dawa ho to kis buniyaad pa
Aziz Lakhnavi
manzil-e-hasti mein ek yusuf ki thi mujh ko talash
ab jo dekha karwan ka karwan milta nahin
Aziz Lakhnavi