mere dahan mein agar aap ki zaban hoti
to phir kuchh aur hi unwan-e-dastan hota
Aziz Lakhnavi
mujh ko kaba mein bhi hamesha shaiKH
yaad-e-ayyam-e-but-parasti thi
Aziz Lakhnavi
musibat thi hamare hi liye kyun
ye mana hum jiye lekin jiye kyun
Aziz Lakhnavi
phuT nikla zahr sare jism mein
jab kabhi aansu hamare tham gae
Aziz Lakhnavi
qafas mein ji nahin lagta hai aah phir bhi mera
ye jaanta hun ki tinka bhi aashiyan mein nahin
Aziz Lakhnavi
qatl aur mujh se saKHt-jaan ka qatl
tegh dekho zara kamar dekho
Aziz Lakhnavi
sabaq aa ke gor-e-ghariban se le lo
KHamoshi mudarris hai is anjuman mein
Aziz Lakhnavi