dard ki dhup mein sahra ki tarah sath rahe
sham aai to lipaT kar hamein diwar kiya
Ata Shad
dil wo sahra hai jahan hasrat-e-saya bhi nahin
dil wo duniya hai jahan rang hai ranai hai
Ata Shad
dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja
bala-kashan-e-nazar ke liye sarab saja
Ata Shad
wo kya talab thi tere jism ke ujale ki
main bujh gaya to mera KHana-e-KHarab saja
Ata Shad
chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna
hum to bazar ke bazar uTha laenge
Ata Turab
han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi
hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah
Ata Turab
ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum
kis liye ruKH pe koi ghaza laga kar dekhen
Ata Turab