koi diwar salamat hai na ab chhat meri
KHana-e-KHasta ki surat hui haalat meri
Aslam Azad
main ne apni KHwahishon ka qatl KHud hi kar diya
hath KHun-alud hain in ko abhi dhoya nahin
Aslam Azad
na dasht o dar se alag tha na jangalon se juda
wo apne shahr mein rahta tha phir bhi tanha tha
Aslam Azad
phenka tha kis ne sang-e-hawas raat KHwab mein
phir DhunDhti hai nind usi pichhle pahr ko
Aslam Azad
asta sunsan tha to muD ke dekha kyun nahin
mujh ko tanha dekh kar us ne pukara kyun nahin
Aslam Azad
silsila rone ka sadiyon se chala aata hai
koi aansu meri palkon pe Thaharta hi nahin
Aslam Azad
hum bhi 'aslam' isi guman mein hain
hum ne bhi koi zindagi ji thi
Aslam Emadi