aste ki anjaan KHushi hai
manzil ka an-jaana Dar hai
Asif Saqib
sameT le gae sab rahmaten kahan mehman
makan kaTta phirta hai mezbanon ko
Asif Saqib
sine ke bich 'saqib' aisa hai marna jina
ek yaad ji uThi thi ek yaad mar gai hai
Asif Saqib
az chehre bahut hasin sahi
phir bhi kitnon se dosti ki jae
Asifa Nishat
wo mere KHwab le ke sirhane khaDa raha
main so rahi thi us ne jagaya nahin mujhe
Asifa Nishat
faeda kya hai nasihat se phire ho naseh
hum samajhne ke nahin lakh tu samjhae hamein
Asif-ud-Daula
hum ishq ke bande hain mazhab se nahin waqif
gar kaba hua to kya but-KHana hua to kya
Asif-ud-Daula