mujh se jo puchhte ho to har haal shukr hai
yun bhi guzar gai meri wun bhi guzar gai
Ashraf Ali Fughan
ab to chalna hai kisi aur hi raftar ke sath
jism bistar pe giraunga chala jaunga
Ashraf Javed
asit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de
mere KHudaya mujhe bhi to ek ghar de de
Ashraf Javed
falak se roz utarte hain raushni ke KHutut
magar na chamke muqaddar gharib-KHanon ke
Ashraf Javed
utni hi nigahon ki meri pyas baDhi hai
jitni ki tujhe dekh ke taskin hui hai
Ashraf Rafi
tere badan ke nae zawiye banata hua
guzar raha hai koi daere banata hua
Ashraf Saleem
ek taswir hun gham ki jis par
muskurane ka guman hota hai
Ashraf Yusuf