nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi
mere honTon se nikli aur kahan tak baat ja pahunchi
Anwar Sabri
ose aapas mein laDa karte hain arbab-e-KHirad
koi diwana ulajhta nahin diwane se
Anwar Sabri
oz aapas mein laDa karte hain arbab-e-KHirad
koi diwana ulajhta nahin diwane se
Anwar Sabri
shamil ho gar na gham ki KHalish zindagi ke sath
rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke sath
Anwar Sabri
shab-e-firaq ki zulmat hai na-gawar mujhe
naqab uTha ki sahar ka hai intizar mujhe
Anwar Sabri
tamam umr qafas mein guzar di hum ne
KHabar nahin ki nasheman ki zindagi kya hai
Anwar Sabri
tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham KHatm ki main ne
jahan dil ki KHalish ubhri tumhein aawaz di main ne
Anwar Sabri