mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se
shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja
Anwar Sabri
main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj
Anwar Sabri
meri nigah-e-fikr mein 'anwar'
ishq fasana husn hai uryan
Anwar Sabri
mohabbat hai azal ke din se shamil meri fitrat mein
bila tafriq shaiKH o barhaman se ishq hai mujh ko
Anwar Sabri
mujhe taslim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujum-e-barq-o-baran kaun dekhega
Anwar Sabri
mumkin hai mil hi jae maqam-e-sukun kahin
ta marg ham-rikab raho zindagi ke sath
Anwar Sabri
mumkin hai mere baad bhula den mujhe lekin
ta umr unhen meri wafa yaad rahegi
Anwar Sabri