jab bhi milta hun wahi chehra liye
bad-dua deta hai aaina mujhe
Ajmal Ajmali
kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi
har raat ka hai subh muqaddar na bhulna
Ajmal Ajmali
man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna
Ajmal Ajmali
tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai
wo pyas hai mile to samundar sameT lun
Ajmal Ajmali
aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen
aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun
Ajmal Siddiqi
alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain
ishq mein Tapken to hain moti, nafrat mein angare hain
Ajmal Siddiqi
azar mein ek chiz nahin kaam ki mere
ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam KHu
Ajmal Siddiqi