اردو हिंदी
Do pal ke hain ye sab mah o aKHtar na bhulna | Shaahi Shayari
do pal ke hain ye sab mah o aKHtar na bhulna

Ghazal

Do pal ke hain ye sab mah o aKHtar na bhulna

Ajmal Ajmali

;

do pal ke hain ye sab mah o aKHtar na bhulna
suraj ghurub hone ka manzar na bhulna

kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi
har raat ka hai subh muqaddar na bhulna

yaadon ke phul ghar se uTha kar chale to ho
dekho inhen kisi jagah rakh kar na bhulna

man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna

haq par agar chaloge to har aaDe waqt mein
tum ko panah degi ye chadar na bhulna