e-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli
hawas-e-rang na wo KHwahish-e-bu karte hain
Aish Dehlvi
kalam-e-mir samjhe aur zaban-e-mirza samjhe
magar un ka kaha ye aap samjhen ya KHuda samjhe
Aish Dehlvi
sine mein ek khaTak si hai aur bas
hum nahin jaante ki kya hai dil
Aish Dehlvi
ab to KHud apni zarurat bhi nahin hai hum ko
wo bhi din the ki kabhi teri zarurat hum the
Aitbar Sajid
ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe
ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae
Aitbar Sajid
arson baad hamein dekha to pahron us ne baat na ki
kuchh to gard-e-safar se bhanpa kuchh aankhon se jaan liya
Aitbar Sajid
hiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen
aa mere dil mere gham-KHwar kahin aur chalen
Aitbar Sajid