ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se
zindagi kya hai miyan bas ek ghar KHwabon ka hai
Ain Tabish
main apna kar-e-wafa aazmaunga phir bhi
kahan main tere sitam yaad karne wala hun
Ain Tabish
main us ghaDi apne aap ka samna bhi karne se bhagta hun
wo zina zina utarne wali shabih jab mujh mein jagti hai
Ain Tabish
oz ek marg ka aalam bhi guzarta hai yahan
roz jine ke bhi saman nikal aate hain
Ain Tabish
tu jo is duniya ki KHatir apna-ap ganwata hai
ai dil-e-man ai mere musafir kaam hai ye na-danon ka
Ain Tabish
anjaan agar ho to guzar kyun nahin jate
pahchan rahe ho to Thahar kyun nahin jate
Aish Barni
ai shama subh hoti hai roti hai kis liye
thoDi si rah gai hai ise bhi guzar de
Aish Dehlvi