e-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae
dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na pae
Ain Tabish
ek basti thi hui waqt ke andoh mein gum
chahne wale bahut apne purane the udha
Ain Tabish
ek KHushbu thi jo malbus pe tabinda thi
ek mausam tha mere sar pe jo tufani tha
Ain Tabish
hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr
taklif kisi ke liye aaram kisi ka
Ain Tabish
har aise-waise se qufl-e-qafas nahin khulta
is imtihan ke liye kuchh haqir hote hain
Ain Tabish
ek zara chain bhi lete nahin 'tabish'-sahab
mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain
Ain Tabish
isi qadar hai hayat o ajal ke bich ka farq
ye ek dhup ka dariya wo ek kinara-e-sham
Ain Tabish