zaKHm itne hain badan par ki kahin dard nahin
hum bhi pathraw mein patthar ke hue jate hain
Ahmad Sagheer Siddiqui
jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shaeri hai
jo kah saka tha wo kah chuka hun jo rah gaya hai wo shaeri hai
Ahmad Salman
kuchal kuchal ke na foot-path ko chalo itna
yahan pe raat ko mazdur KHwab dekhte hain
Ahmad Salman
main hun bhi to lagta hai ki jaise main nahin hun
tum ho bhi nahin aur ye lagta hai ki tum ho
Ahmad Salman
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha
man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
Ahmad Salman
wo jin daraKHton ki chhanw mein se musafiron ko uTha diya tha
unhin daraKHton pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
Ahmad Salman
duniya ne jo zaKHm diye the bhar diye teri yaadon ne
yaadon ne jo zaKHm lagae wo baDh kar nasur hue
Ahmad Shahid Khan