اردو हिंदी
Kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha | Shaahi Shayari
kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha

Ghazal

Kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha

Ahmad Salman

;

kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha
jis ne shahr ki diwaron par pahla nara likkha tha

lash ke nanhe hath mein basta aur ek khaTTi goli thi
KHun mein Dubi ek taKHti par ghain-ghubara likkha tha

aaKHir hum hi mujrim Thahre jaane kin kin jurmon ke
fard-e-amal thi jaane kis ki nam hamara likkha tha

sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha
man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha