shama ki tarah se jalna sikh auron ke liye
gar tamanna dil mein hai to raunaq-e-mahfil bane
Ahmad Shahid Khan
ye gutthi kab se main suljha raha hun
jahan se main hun ya mujh se jahan hai
Ahmad Shahid Khan
abhi hamein guzarni hai ek umr-e-muKHtasar
magar hamari umr-e-muKHtasar mein kitni der hai
Ahmad Shahryar
faqir-e-shahr bhi raha hun 'shahryar' bhi magar
jo itminan faqr mein hai taj-o-taKHt mein nahin
Ahmad Shahryar
hadd-e-guman se ek shaKHs dur kahin chala gaya
main bhi wahin chala gaya main bhi guzishtagan mein tha
Ahmad Shahryar
hamare shahr ki riwayaton mein ek ye bhi tha
dua se qabl puchhna asar mein kitni der hai
Ahmad Shahryar
ilm ka dam bharna chhoDo bhi aur amal ko bhul bhi jao
aaina-KHane mein ho sahib fikr karo hairani ki
Ahmad Shahryar