main tha sadiyon ke safar mein 'ahmad'
aur sadiyon ka safar tha mujh mein
Ahmad Khayal
mere kashkol mein Dal aur zara ijz ki main
itni KHairaat se aage nahin jaane wala
Ahmad Khayal
sukut toDne ka ehtimam karna chahiye
kabhi-kabhaar KHud se bhi kalam karna chahiye
Ahmad Khayal
tumhaari jit mein pinhan hai meri jit kahin
tumhaare samne har bar haarta hua main
Ahmad Khayal
tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai
tera kirdar kahani se nikal sakta hai
Ahmad Khayal
wo de raha tha talab se siwa sabhi ko 'KHayal'
so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya
Ahmad Khayal
wo sar uThae yahan se palaT gaya 'ahmad'
main sar jhukae khaDa hun sawal aisa tha
Ahmad Khayal