dil-girafta hi sahi bazm saja li jae
yaad-e-jaanan se koi sham na KHali jae
Ahmad Faraz
do ghaDi us se raho dur to yun lagta hai
jis tarah saya-e-diwar se diwar juda
Ahmad Faraz
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
Ahmad Faraz
'faraaz' ishq ki duniya to KHub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai
Ahmad Faraz
'faraaz' tark-e-talluq to KHair kya hoga
yahi bahut hai ki kam kam mila karo us se
Ahmad Faraz
'faraaz' tere junun ka KHayal hai warna
ye kya zarur wo surat sabhi ko pyari lage
Ahmad Faraz
'faraaz' tu ne use mushkilon mein Dal diya
zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu
Ahmad Faraz