waisa hi KHarab shaKHs hun main
jaisa koi chhoD kar gaya tha
Ahmad Ata
ye chadar ek alamat bani hui thi yahan
dar-asl gham ka libaada bahut zaruri tha
Ahmad Ata
ye jo raaton ko mujhe KHwab nahin aate 'ata'
is ka matlab hai mera yar KHafa hai mujh se
Ahmad Ata
ye tera hijr ata dard ata karb ata
ab 'ata' kaise jiye teri ataon ke baghai
Ahmad Ata
zindagi KHwab hai aur KHwab bhi aisa ki miyan
sochte rahiye ki is KHwab ki tabir hai kya
Ahmad Ata
aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya
pahle diwar shikasta hui phir bab gira
Ahmad Azeem
ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de
main tere sath sath raha ghar nahin gaya
Ahmad Azeem