main to miTTi ho raha tha ishq mein lekin 'ata'
aa gai mujh mein kahin se be-dimaghi 'mir' ki
Ahmad Ata
main us ki aaankhon ke bare mein kuchh nahin kahta
ufuq se ta-ba-ufuq ek jahan samajh lije
Ahmad Ata
na-rasai ne ajab taur sikhae hain 'ata'
yani bhule bhi nahin tum ko pukara bhi nahin
Ahmad Ata
phir koi dur hua jata hai
phir koi dil ke qarib aaega
Ahmad Ata
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniya
aur aise tark hui ek KHud-kushi hum se
Ahmad Ata
tabir batai ja chuki hai
ab aankh ko KHwab dekhna hai
Ahmad Ata
us ka badan hai rag sa rag bhi ek aag sa
aag ka mas tabah-kun rag ka ras tabah-kun
Ahmad Ata