jo kuchh nigah mein hai haqiqat mein wo nahin
jo tere samne hai tamasha kuchh aur hai
Aftab Hussain
kab bhaTak jae 'aftab' husain
aadmi ka koi bharosa nahin
Aftab Hussain
kab tak sath nibhata aaKHir
wo bhi duniya mein rahta hai
Aftab Hussain
karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai
dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai
Aftab Hussain
khila rahega kisi yaad ke jazire par
ye bagh main jise viran karne wala hun
Aftab Hussain
kin manzaron mein mujh ko mahakna tha 'aftab'
kis regzar par hun main aa kar khila hua
Aftab Hussain
kisi tarah to ghaTe dil ki be-qarari bhi
chalo wo chashm nahin kam se kam sharab to ho
Aftab Hussain