asas-e-jism uThaun nae sire se magar
ye sochta hun ki miTTi meri KHarab to ho
Aftab Hussain
azab-e-barq-o-baran tha andheri raat thi
rawan thin kashtiyan kis shan se is jhil mein
Aftab Hussain
adal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye duniya hai dekhne ke liye
Aftab Hussain
chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai
Aftab Hussain
dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya
zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai
Aftab Hussain
dilon ke bab mein kya daKHl 'aftab-husain'
so baat phail gai muKHtasar banate hue
Aftab Hussain
duniya se alaihadgi ka rasta
duniya se nibah kar ke dekha
Aftab Hussain