اردو हिंदी
Nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai | Shaahi Shayari
nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

Ghazal

Nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

Aftab Hussain

;

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai
wo tirgi hai ki ye raushni ghanimat hai

chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai

kam o ziyaada pe israr kya kiya jae
hamare daur mein itni si bhi ghanimat hai

badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye nazzargi ghanimat hai

na jaane waqt ki gardish dikhaegi kya ruKH
guzar rahi hai jo ye zindagi ghanimat hai

gham-e-jahan ke jhamelon mein aaftab 'husain'
KHayal-e-yar ki aasudgi ghanimat hai