tum kabhi ek nazar meri taraf bhi dekho
ek tawaqqo hi to hai koi guzarish to nahin
Fazil Jamili
zindagi ho to kai kaam nikal aate hain
yaad aaunga kabhi main bhi zarurat mein use
Fazil Jamili
ziyaada der use dekhna bhi hai 'fazil'
aur apne aap ko thoDa sa kam bhi rakhna hai
Fazil Jamili
aankhon ka to kaam hi hai rona
ye girya-e-be-sabab hai pyare
Fazl Ahmad kariim Fazli
ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
Fazl Ahmad kariim Fazli
fareb-e-karam ek to un ka hai is par
sitam meri KHush-fahmiyan aur bhi hain
Fazl Ahmad kariim Fazli
gham-e-dauran mein kahan baat gham-e-jaanan ki
nazm hai apni jagah KHub magar hae ghazal
Fazl Ahmad kariim Fazli