hai saKHt mushkil mein jaan saqi pilae aaKHir kidhar se pahle
sabhi ki aankhen ye kah rahi hain idhar se pahle idhar se pahle
Fazl Ahmad kariim Fazli
hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai
ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin
Fazl Ahmad kariim Fazli
naqab un ne ruKH se uThai to lekin
hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain
Fazl Ahmad kariim Fazli
har ek shai KHun mein Dubi hui hai
koi is tarah se paida na hota
Fazl Tabish
kamre mein aa ke baiTh gai dhup mez par
bachchon ne khilkhila ke mujhe bhi jaga diya
Fazl Tabish
mangne se hua hai wo KHud-sar
kuchh dinon kuchh na mang kar dekho
Fazl Tabish
na kar shumar ki har shai gini nahin jati
ye zindagi hai hisabon se ji nahin jati
Fazl Tabish