ah-e-mazmun-e-taza band nahin
ta qayamat khula hai bab-e-suKHan
Wali Mohammad Wali
KHub-ru KHub kaam karte hain
yak nigah mein ghulam karte hain
Wali Mohammad Wali
kishan ki gopiyan ki nain hai ye nasl
rahen sab gopiyan wo naql ye asl
Wali Mohammad Wali
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka e'tibar khoti hai
Wali Mohammad Wali
na ho kyun shor dil ki bansuli mein
malahat ka salona kan pahuncha
Wali Mohammad Wali
phir meri KHabar lene wo sayyaad na aaya
shayad ki mera haal use yaad na aaya
Wali Mohammad Wali
tere lab ke huquq hain mujh par
kyun bhula dun main dil se haqq-e-namak
Wali Mohammad Wali
yaad karna har ghaDi tujh yar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimar ka
Wali Mohammad Wali
tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga
jadu hain tere nain ghazalan sun kahunga
Wali Mohammad Wali

