اردو हिंदी
Yaad karna har ghaDi us yar ka | Shaahi Shayari
yaad karna har ghaDi us yar ka

Ghazal

Yaad karna har ghaDi us yar ka

Wali Mohammad Wali

;

yaad karna har ghaDi us yar ka
hai wazifa mujh dil-e-bimar ka

aarzu-e-chashma-e-kausar nain
tishna-lab hun sharbat-e-didar ka

aaqibat kya howega malum nain
dil hua hai mubtila dildar ka

kya kahe tarif dil hai be-nazir
harf harf us maKHzan-e-asrar ka

gar hua hai talib-e-azadgi
band mat ho subha o zunnar ka

masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui
dekh rutba dida-e-bedar ka

ai 'wali' hona sirijan par nisar
muddaa hai chashm-e-gauhar-bar ka